Aaj barson bad is blog par aai hoon .. & ALLAH ka shukar
hai , ke ab mujhe blog aagaya hai .. socha har cheez ka waqt
muqarar hota hai.. mene itne sal , blog use nahi kiya , zindagi mein
na jane kiya kiya hogaya, tabdeeliyan aain , dher sari khushiyan
bhi aur buhut sari sakht azmaish / mushkilat bhi ... un se
tajrbe buhut huwe .. ab zindgi mein tahrao bhi aagaya..
ab mujh mein bhi buhut badlao aaya .. kabhi waqt ne buhut
kuch sikhadiya .. & phir khud par nazr ki .. to kai adhoori khuwahishen, jo thi unko , socha ab mukamil kardoon
ALLAH ka karam , aaj blooger seekha .. kuch sal pahle
bilkul samajh nahi aaata tha .. ab siri do hafton mein mashaALLAH seekh liya .. par ab bhi kuch kamiyan zaroor hongi
jo baqi seeekhni hai . well ! shukar ALLAH ka
zindgi mein ek cheez to mukamil ki hai
ALHAMDULILLAH !
inshaALLAH baqi bhi kardoongi .. bas doosron ko serch
kaese karoon yani doosre logon ke blogs kaese dekhoon
ye aaj bhi idea nahi .. inshaALLAH jald ye
bhi dhoondloongi , & maine kisi doosre nam se apna
khaas blog banaya hai , jis par sari dil ki baten kahti / likhti hoon
& dil khsu hojata hai , bas ab blogger ko hee apna
best friend & hamraz bana diya hai .. buhut maza aaraha hai
.. jab tak dil ki baat / ahsasat na likhoon tab tak
chain nahi parta .. wese to kuch khaas baton ke
bina bhi chaen nahi parta ..
ye mujhe chain kiyoon nahi parta
kiya ek hee shaks thaa duniyaan main ?
No comments:
Post a Comment